aawargi-e-rang hai KHwabon ki tarah hai
āvārgī-e-rañg hai ḳhvāboñ kī tarah hai
vo shaḳhs shafaq-zār gulāboñ kī tarah hai
har moḌ pe milte haiñ bichhaḌ jaate haiñ pyāre
hastī kī har ik mauj habāboñ kī tarah hai
sahrā meñ har ik lamha chamaktā hai musalsal
ehsās-e-safar jaise sarāboñ kī tarah hai
is daur meñ chehroñ pe likhe rahte haiñ hālāt
har shaḳhs yahāñ jaise kitāboñ kī tarah hai
tajdīd-e-mohabbat kī tarāshīda kahānī
har daur meñ rūhoñ ke nisāboñ kī tarah hai
aawargi-e-rang hai KHwabon ki tarah hai
wo shaKHs shafaq-zar gulabon ki tarah hai
har moD pe milte hain bichhaD jate hain pyare
hasti ki har ek mauj hababon ki tarah hai
sahra mein har ek lamha chamakta hai musalsal
ehsas-e-safar jaise sarabon ki tarah hai
is daur mein chehron pe likhe rahte hain haalat
har shaKHs yahan jaise kitabon ki tarah hai
tajdid-e-mohabbat ki tarashida kahani
har daur mein ruhon ke nisabon ki tarah hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.