aawargi ne dil ki ajab kaam kar diya
āvārgī ne dil kī ajab kaam kar diyā
ḳhvāboñ ko bojh nīñdoñ ko ilzām kar diyā
kuchh aañsū apne pyaar kī pahchān ban ga.e
kuchh āñsuoñ ne pyaar ko bad-nām kar diyā
jis ko bachā.e rakhne meñ ajdād bik ga.e
ham ne usī havelī ko nīlām kar diyā
dil ko bachā ke rakkhā thā duniyā se aaj tak
le aaj ham ne ye bhī tire naam kar diyā
tum ne nazar jhukā ke jahāñ baat kaaT dī
ham ne vahīñ fasāne kā anjām kar diyā
aawargi ne dil ki ajab kaam kar diya
KHwabon ko bojh nindon ko ilzam kar diya
kuchh aansu apne pyar ki pahchan ban gae
kuchh aansuon ne pyar ko bad-nam kar diya
jis ko bachae rakhne mein ajdad bik gae
hum ne usi haweli ko nilam kar diya
dil ko bacha ke rakkha tha duniya se aaj tak
le aaj hum ne ye bhi tere nam kar diya
tum ne nazar jhuka ke jahan baat kaT di
hum ne wahin fasane ka anjam kar diya
- Book : Kashmakash (Pg. 42)
- Author : Mansoor Usmani
- Publication : Najma House, Baradari, Moradabad (2007)
- Edition : 2007
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.