aawaz ke hamrah sarapa bhi to dekhun
āvāz ke hamrāh sarāpā bhī to dekhūñ
ai jān-e-suḳhan maiñ terā chehra bhī to dekhūñ
dastak to kuchh aisī hai ki dil chhūne lagī hai
is habs meñ bārish kā ye jhoñkā bhī to dekhūñ
sahrā kī tarah rahte hue thak ga.iiñ āñkheñ
dukh kahtā hai maiñ ab koī dariyā bhī to dekhūñ
ye kyā ki vo jab chāhe mujhe chhīn le mujh se
apne liye vo shaḳhs taḌaptā bhī to dekhūñ
ab tak to mire sher havāla rahe terā
ab maiñ tirī rusvā.ī kā charchā bhī to dekhūñ
ab tak jo sarāb aa.e the anjāne meñ aa.e
pahchāne hue rastoñ kā dhokā bhī to dekhūñ
aawaz ke hamrah sarapa bhi to dekhun
ai jaan-e-suKHan main tera chehra bhi to dekhun
dastak to kuchh aisi hai ki dil chhune lagi hai
is habs mein barish ka ye jhonka bhi to dekhun
sahra ki tarah rahte hue thak gain aankhen
dukh kahta hai main ab koi dariya bhi to dekhun
ye kya ki wo jab chahe mujhe chhin le mujh se
apne liye wo shaKHs taDapta bhi to dekhun
ab tak to mere sher hawala rahe tera
ab main teri ruswai ka charcha bhi to dekhun
ab tak jo sarab aae the anjaane mein aae
pahchane hue raston ka dhoka bhi to dekhun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.