aawazon se jism hua nam
āvāzoñ se jism huā nam
jaise ik nā-bīnā sā ġham
hoñToñ meñ dariyā kā qatra
chādar meñ ḳhush-bū jaisā ḳham
ā.īnoñ kā rañg hamesha
aisā jaise hoñToñ meñ dam
kam hotī āñkhoñ ke bhītar
bīnā.ī ke shītal sargam
sar ūñchā ūñchī tanhā.ī
qadmoñ meñ begāna aadam
dariyā meñ uryāñ har lamha
bāhoñ ke andar bahtā yam
nam chehre ḳham hote chādar
chehroñ meñ yaksāñ hote sam
shab kī ik tanhā sīrat meñ
lab kī har dastak hotī kam
ik dastak dastak ko suntī
lohū kā sākit hotā ḳham
aawazon se jism hua nam
jaise ek na-bina sa gham
honTon mein dariya ka qatra
chadar mein KHush-bu jaisa KHam
aainon ka rang hamesha
aisa jaise honTon mein dam
kam hoti aankhon ke bhitar
binai ke shital sargam
sar uncha unchi tanhai
qadmon mein begana aadam
dariya mein uryan har lamha
bahon ke andar bahta yam
nam chehre KHam hote chadar
chehron mein yaksan hote sam
shab ki ek tanha sirat mein
lab ki har dastak hoti kam
ek dastak dastak ko sunti
lohu ka sakit hota KHam
- Book : Saweera (magazine-56 (Pg. 163)
- Author : Salahuddin Mahmood
- Publication : Saweera art Press, Pakistan (1979)
- Edition : 1979
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.