aaya hai mujhe phir yaad wo zalim guzra zamana bachpan ka
aaya hai mujhe phir yaad wo zalim guzra zamana bachpan ka
Anand Bakhshi
MORE BYAnand Bakhshi
aaya hai mujhe phir yaad vo zālim guzrā zamāna bachpan kā
haa.e akele chhoḌ ke jaanā aur na aanā bachpan kā
vo khel vo sāthī vo jhūle vo dauḌ ke kahnā aa chhū le
ham aaj talak bhī na bhūle vo ḳhvāb suhānā bachpan kā
is kī sab ko pahchān nahīñ ye do din kā mehmān nahīñ
mushkil hai bahut āsān nahīñ ye pyaar bhulānā bachpan kā
mil kar ro.eñ fariyād kareñ un biite dinoñ ko yaad kareñ
ai kaash kahīñ mil jaa.e koī jo miit purānā bachpan kā
aaya hai mujhe phir yaad wo zalim guzra zamana bachpan ka
hae akele chhoD ke jaana aur na aana bachpan ka
wo khel wo sathi wo jhule wo dauD ke kahna aa chhu le
hum aaj talak bhi na bhule wo KHwab suhana bachpan ka
is ki sab ko pahchan nahin ye do din ka mehman nahin
mushkil hai bahut aasan nahin ye pyar bhulana bachpan ka
mil kar roen fariyaad karen un bite dinon ko yaad karen
ai kash kahin mil jae koi jo mit purana bachpan ka
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.