aaya nahin jo kar kar iqrar hanste hanste
aayā nahīñ jo kar kar iqrār hañste hañste
jul de gayā hai shāyad 'ayyār hañste hañste
itnā na hañs dil us se aisā na ho ki chanchal
laḌne ko tujh se hove tayyār hañste hañste
le kar sarīh dil ko vo gul-e-'ezār yaaro
zāhir kare hai kyā kyā inkār hañste hañste
hañs hañs ke chheḌ us ko zinhār tū na ai dil
hogā gale kā tere ye haar hañste hañste
hañsne kī aan dikhlā letā hai dil ko gul-rū
kartā hai shoḳh yaaro be-kār hañste hañste
jhuñjhlā ke haal dil kā kahnā nahīñ ravā hai
laa.iq yahāñ to karnā inkār hañste hañste
dastār surḳh saj kar turra zarī kā rakh kar
aayā jo dil ko lene dildār hañste hañste
āñkheñ laḌā ke us ne hañs kar nigah kī aisī
jo le gayā dil āḳhir ḳhūñḳhār hañste hañste
aayā hai dekhne ko tere 'nazīr' ai gul
dikhlā de Tuk tū us ko dīdār hañste hañste
aaya nahin jo kar kar iqrar hanste hanste
jul de gaya hai shayad 'ayyar hanste hanste
itna na hans dil us se aisa na ho ki chanchal
laDne ko tujh se howe tayyar hanste hanste
le kar sarih dil ko wo gul-e-'ezar yaro
zahir kare hai kya kya inkar hanste hanste
hans hans ke chheD us ko zinhaar tu na ai dil
hoga gale ka tere ye haar hanste hanste
hansne ki aan dikhla leta hai dil ko gul-ru
karta hai shoKH yaro be-kar hanste hanste
jhunjhla ke haal dil ka kahna nahin rawa hai
laiq yahan to karna inkar hanste hanste
dastar surKH saj kar turra zari ka rakh kar
aaya jo dil ko lene dildar hanste hanste
aankhen laDa ke us ne hans kar nigah ki aisi
jo le gaya dil aaKHir KHunKHar hanste hanste
aaya hai dekhne ko tere 'nazir' ai gul
dikhla de Tuk tu us ko didar hanste hanste
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.