aaya tha sath le ke main saughat-e-KHair-o-shar
aayā thā saath le ke maiñ sauġhāt-e-ḳhair-o-shar
pīchhe lagī rahīñ magar āyāt-e-ḳhair-o-shar
jhūTī anā ke zo.am meñ ghar se nikal paḌā
ai kaash bhuul jā.ūñ vo lamhāt-e-ḳhair-o-shar
bachchoñ ko dars dene kā nusḳha badal gayā
dete haiñ maulvī na hidāyāt-e-ḳhair-o-shar
samtoñ kā kuchh ḳhayāl na auqāt hī kā ilm
allah re justujū-e-maqāmāt-e-ḳhair-o-shar
'mansūr' apnī āñkhoñ pe aayā na e.atibār
aa.e the mujh ko dene vo ḳhairāt-e-khair-o-shar
aaya tha sath le ke main saughat-e-KHair-o-shar
pichhe lagi rahin magar aayat-e-KHair-o-shar
jhuTi ana ke zoam mein ghar se nikal paDa
ai kash bhul jaun wo lamhat-e-KHair-o-shar
bachchon ko dars dene ka nusKHa badal gaya
dete hain maulwi na hidayat-e-KHair-o-shar
samton ka kuchh KHayal na auqat hi ka ilm
allah re justuju-e-maqamat-e-KHair-o-shar
'mansur' apni aankhon pe aaya na eatibar
aae the mujh ko dene wo KHairaat-e-khair-o-shar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.