aazadi-e-zamir sitamgar KHarid li
āzādī-e-zamīr sitamgar ḳharīd lī
sar ne hamāre quvvat-e-ḳhanjar ḳharīd lī
kuchh zindagī kī ḳhaas zarūrat na thī magar
qadmoñ kī tere ḳhaak samajh kar ḳharīd lī
jādūgarī un āñkhoñ kī mat pūchhiye huzūr
ik pal meñ shorish-e-dil-e-muztar ḳharīd lī
mele se bunde bāl-pineñ kuchh nahīñ liye
merī ġhayūr beTī ne chādar ḳharīd lī
'kaifī' maiñ us pe maut ko tarjīh kyoñ na duuñ
vo zindagī jo jaan bachā kar ḳharīd lī
aazadi-e-zamir sitamgar KHarid li
sar ne hamare quwwat-e-KHanjar KHarid li
kuchh zindagi ki KHas zarurat na thi magar
qadmon ki tere KHak samajh kar KHarid li
jadugari un aankhon ki mat puchhiye huzur
ek pal mein shorish-e-dil-e-muztar KHarid li
mele se bunde baal-pinen kuchh nahin liye
meri ghayur beTi ne chadar KHarid li
'kaifi' main us pe maut ko tarjih kyon na dun
wo zindagi jo jaan bacha kar KHarid li
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.