aazmaya hai mudam aapko bas bas aji bas
āzmāyā hai mudām aap ko bas bas ajī bas
donoñ hāthoñ se salām aap ko bas bas ajī bas
aap kī banda-navāzī hai jahāñ meñ mash.hūr
jāntā hai ye ġhulām aap ko bas bas ajī bas
muñh na khulvā.iye merā yūñhī rahne diije
yaad bhī hai vo kalām aap ko bas bas ajī bas
ham ne kal dekh liyā dekh liyā dekh liyā
kahīñ jaate sar-e-shām aap ko bas bas ajī bas
pīji.e ḳhūn-e-jigar apnā janāb-e-zāhid
bāda-o-sāġhar-o-jām aap ko bas bas ajī bas
aazmaya hai mudam aap ko bas bas aji bas
donon hathon se salam aap ko bas bas aji bas
aap ki banda-nawazi hai jahan mein mashhur
jaanta hai ye ghulam aap ko bas bas aji bas
munh na khulwaiye mera yunhi rahne dije
yaad bhi hai wo kalam aap ko bas bas aji bas
hum ne kal dekh liya dekh liya dekh liya
kahin jate sar-e-sham aap ko bas bas aji bas
pijie KHun-e-jigar apna janab-e-zahid
baada-o-saghar-o-jam aap ko bas bas aji bas
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.