ab afsos karne se kya hoga hasil
ab afsos karne se kyā hogā hāsil
hamārī tabāhī meñ tum bhī the shāmil
qayāmat jo guzrī hai ham par jahāñ meñ
nahīñ is meñ apnī ḳhatā koī shāmil
bas āñkhoñ meñ aa.e hue ashk pī kar
dil-e-ġham-zadā par tū rakh sabr-e-kāmil
hai qabza sabhī sāhiloñ par adū kā
kahīñ bhī nahīñ merī kashtī kā sāhil
duā hī huī jab na puurī hamārī
dil apnā hai ab to gunāhoñ pe maa.il
duā māñgtā hai hamesha ye 'sahgal'
banānā mujhe apne hī dar kā saa.il
ab afsos karne se kya hoga hasil
hamari tabahi mein tum bhi the shamil
qayamat jo guzri hai hum par jahan mein
nahin is mein apni KHata koi shamil
bas aankhon mein aae hue ashk pi kar
dil-e-gham-zada par tu rakh sabr-e-kaamil
hai qabza sabhi sahilon par adu ka
kahin bhi nahin meri kashti ka sahil
dua hi hui jab na puri hamari
dil apna hai ab to gunahon pe mail
dua mangta hai hamesha ye 'sahgal'
banana mujhe apne hi dar ka sail
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.