ab ahl-e-dard ye jine ka ehtimam karen
ab ahl-e-dard ye jiine kā ehtimām kareñ
use bhulā ke ġham-e-zindagī kā naam kareñ
fareb khā ke un āñkhoñ kā kab talak ai dil
sharāb-e-ḳhām piyeñ raqs-e-nā-tamām kareñ
ġham-e-hayāt ne āvāra kar diyā varna
thī aarzū ki tire dar pe sub.h o shaam kareñ
na māñgūñ bāda-e-gul-gūñ se bhiik mastī kī
agar tire lab-e-lālīñ mirā ye kaam kareñ
na dekheñ dair o haram sū-e-rah-ravān-e-hayāt
ye qāfile to na jaane kahāñ qayām kareñ
haiñ is kashākash-e-paiham meñ zindagī ke maze
phir ek baar koī sa.i-e-nā-tamām kareñ
sikhā.eñ dast-e-talab ko adā-e-bebākī
payām-e-zer-labī ko salā-e-ām kareñ
ġhulām rah chuke toḌeñ ye band-e-rusvā.ī
kuchh apne bāzu-e-mehnat kā ehtirām kareñ
zamīñ ko mil ke sañvāreñ misāl-e-rū-e-nigār
ruḳh-e-nigār se raushan charāġh-e-bām kareñ
phir uTh ke garm kareñ kārobār-e-zulf-o-junūñ
phir apne saath use bhī asīr-e-dām kareñ
mirī nigāh meñ hai arz-e-moscow 'majrūh'
vo sarzamīñ ki sitāre jise salām kareñ
ab ahl-e-dard ye jine ka ehtimam karen
use bhula ke gham-e-zindagi ka nam karen
fareb kha ke un aankhon ka kab talak ai dil
sharab-e-KHam piyen raqs-e-na-tamam karen
gham-e-hayat ne aawara kar diya warna
thi aarzu ki tere dar pe subh o sham karen
na mangun baada-e-gul-gun se bhik masti ki
agar tere lab-e-lalin mera ye kaam karen
na dekhen dair o haram su-e-rah-rawan-e-hayat
ye qafile to na jaane kahan qayam karen
hain is kashakash-e-paiham mein zindagi ke maze
phir ek bar koi sai-e-na-tamam karen
sikhaen dast-e-talab ko ada-e-bebaki
payam-e-zer-labi ko sala-e-am karen
ghulam rah chuke toDen ye band-e-ruswai
kuchh apne bazu-e-mehnat ka ehtiram karen
zamin ko mil ke sanwaren misal-e-ru-e-nigar
ruKH-e-nigar se raushan charagh-e-baam karen
phir uTh ke garm karen karobar-e-zulf-o-junun
phir apne sath use bhi asir-e-dam karen
meri nigah mein hai arz-e-moscow 'majruh'
wo sarzamin ki sitare jise salam karen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.