ab andheron mein jo hum KHauf-zada baiThe hain
ab andheron mein jo hum KHauf-zada baiThe hain
Khushbir Singh Shaad
MORE BYKhushbir Singh Shaad
ab añdheroñ meñ jo ham ḳhauf-zada baiThe haiñ
kyā kaheñ ḳhud hī charāġhoñ ko bujhā baiThe haiñ
bas yahī soch ke taskīn sī ho jaatī hai
aur kuchh log bhī duniyā se ḳhafā baiThe haiñ
dekh le jān-e-vafā aaj tirī mahfil meñ
ek mujrim kī tarah ahl-e-vafā baiThe haiñ
ek ham haiñ ki parastish pe 'aqīda hī nahīñ
aur kuchh log yahāñ ban ke ḳhudā baiThe haiñ
'shād' tū bazm ke ādāb samajhtā hī nahīñ
aur bhī log yahāñ tere sivā baiThe haiñ
ab andheron mein jo hum KHauf-zada baiThe hain
kya kahen KHud hi charaghon ko bujha baiThe hain
bas yahi soch ke taskin si ho jati hai
aur kuchh log bhi duniya se KHafa baiThe hain
dekh le jaan-e-wafa aaj teri mahfil mein
ek mujrim ki tarah ahl-e-wafa baiThe hain
ek hum hain ki parastish pe 'aqida hi nahin
aur kuchh log yahan ban ke KHuda baiThe hain
'shad' tu bazm ke aadab samajhta hi nahin
aur bhi log yahan tere siwa baiThe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.