ab anjuman mein wo yaran-e-gham-gusar kahan
ab anjuman meñ vo yārān-e-ġham-gusār kahāñ
nigāh-e-lutf kahāñ ham kahāñ bahār kahāñ
chale bhī aa.iye aanā hai to ḳhudā ke liye
nigāh-e-shauq ko ab tāb-e-intizār kahāñ
hai mai-kada to magar mai-kade meñ ai saaqī
ḳhayāl-e-ḳhātir-e-rindān-e-bāda-ḳhvār kahāñ
surūr jis se mayassar thā dīda-o-dil ko
kisī kī āñkhoñ meñ baaqī vo ab ḳhumār kahāñ
vo bad-nasīb huuñ mere nasīb kā 'zaidī'
chaman meñ sabza kahāñ dasht meñ ġhubār kahāñ
ab anjuman mein wo yaran-e-gham-gusar kahan
nigah-e-lutf kahan hum kahan bahaar kahan
chale bhi aaiye aana hai to KHuda ke liye
nigah-e-shauq ko ab tab-e-intizar kahan
hai mai-kada to magar mai-kade mein ai saqi
KHayal-e-KHatir-e-rindan-e-baada-KHwar kahan
surur jis se mayassar tha dida-o-dil ko
kisi ki aankhon mein baqi wo ab KHumar kahan
wo bad-nasib hun mere nasib ka 'zaidi'
chaman mein sabza kahan dasht mein ghubar kahan
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.