ab apne darmiyan shishe ki ek diwar baqi hai
ab apne darmiyāñ shīshe kī ik dīvār baaqī hai
mire dukh aur tirā nā-mo'tabar kirdār baaqī hai
idhar dīnār-o-dirham aur udhar terā phaTā dāman
mire yūsuf tujhī se garmī-e-bāzār baaqī hai
hamāre sar qalam hote haiñ ham bai'at nahīñ karte
ki ham logoñ meñ ab bhī jur.at-e-inkār baaqī hai
badalte vaqt ne sab kuchh badal Daalā magar ḳhush huuñ
mirā lahja vahī hai aur mirā me.aar baaqī hai
ab apne darmiyan shishe ki ek diwar baqi hai
mere dukh aur tera na-mo'tabar kirdar baqi hai
idhar dinar-o-dirham aur udhar tera phaTa daman
mere yusuf tujhi se garmi-e-bazar baqi hai
hamare sar qalam hote hain hum bai'at nahin karte
ki hum logon mein ab bhi jurat-e-inkar baqi hai
badalte waqt ne sab kuchh badal Dala magar KHush hun
mera lahja wahi hai aur mera mear baqi hai
- Book : مرا انتظار کرنا (Pg. 16)
- Author : ڈاکٹر نسیم نکہت
- Publication : بالمقابل ٹوریہ گنج اسپتال تلسی داس مارگ۔4 (2010)
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.