ab apne gunahon pe wo sharminda kahan hai
ab apne gunāhoñ pe vo sharminda kahāñ hai
insāñ bhalā aadam kā numā.inda kahāñ hai
kuchh aur bure din na kahīñ dekhne paḌ jaa.eñ
is daur-e-farāsat meñ ḳhirad zinda kahāñ hai
har chehra hai iḳhlās kī tanvīr se aarī
ai shahr-e-mohabbat tirā bāshinda kahāñ hai
ham jis ke liye maazī meñ ḳhuuñ rote rahe haiñ
ab soch rahe haiñ ki vo ā.inda kahāñ hai
har samt nazar aatī haiñ chaltī huī lāsheñ
duniyā meñ bashar hai to magar zinda kahāñ hai
ab apne gunahon pe wo sharminda kahan hai
insan bhala aadam ka numainda kahan hai
kuchh aur bure din na kahin dekhne paD jaen
is daur-e-farasat mein KHirad zinda kahan hai
har chehra hai iKHlas ki tanwir se aari
ai shahr-e-mohabbat tera bashinda kahan hai
hum jis ke liye mazi mein KHun rote rahe hain
ab soch rahe hain ki wo aainda kahan hai
har samt nazar aati hain chalti hui lashen
duniya mein bashar hai to magar zinda kahan hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.