ab apni ruh ke chhaalon ka kuchh hisab karun
ab apnī ruuh ke chhāloñ kā kuchh hisāb karūñ
maiñ chāhtā thā charāġhoñ ko āftāb karūñ
mujhe butoñ se ijāzat agar kabhī mil jaa.e
to shahr-bhar ke ḳhudāoñ ko be-naqāb karūñ
us aadmī ko bas ik dhun savār rahtī hai
bahut hasīn hai duniyā ise ḳharāb karūñ
hai mere chāroñ taraf bhiiḌ gūñge bahroñ kī
kise ḳhatīb banā.ūñ kise ḳhitāb karūñ
maiñ karvaToñ ke na.e zā.iqe likhūñ shab-bhar
ye 'ishq hai to kahāñ zindagī 'azāb karūñ
ye zindagī jo mujhe qarz-dār kartī rahī
kahīñ akele meñ mil jaa.e to hisāb karūñ
ab apni ruh ke chhaalon ka kuchh hisab karun
main chahta tha charaghon ko aaftab karun
mujhe buton se ijazat agar kabhi mil jae
to shahr-bhar ke KHudaon ko be-naqab karun
us aadmi ko bas ek dhun sawar rahti hai
bahut hasin hai duniya ise KHarab karun
hai mere chaaron taraf bhiD gunge bahron ki
kise KHatib banaun kise KHitab karun
main karwaTon ke nae zaiqe likhun shab-bhar
ye 'ishq hai to kahan zindagi 'azab karun
ye zindagi jo mujhe qarz-dar karti rahi
kahin akele mein mil jae to hisab karun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.