ab asiri ki ye tadbir hui jati hai
ab asīrī kī ye tadbīr huī jaatī hai
ek ḳhushbū mirī zanjīr huī jaatī hai
ik hasīñ ḳhvāb ki āñkhoñ se nikaltā hī nahīñ
ek vahshat hai ki ta.abīr huī jaatī hai
us kī poshāk nigāhoñ kā ajab hai ye fusūñ
ḳhush-bayānī mirī tasvīr huī jaatī hai
ab vo dīdār mayassar hai na qurbat na suḳhan
ik judā.ī hai jo taqdīr huī jaatī hai
un ko ash.ār na samjheñ kahīñ duniyā vaale
ye to hasrat hai jo tahrīr huī jaatī hai
ab asiri ki ye tadbir hui jati hai
ek KHushbu meri zanjir hui jati hai
ek hasin KHwab ki aankhon se nikalta hi nahin
ek wahshat hai ki tabir hui jati hai
us ki poshak nigahon ka ajab hai ye fusun
KHush-bayani meri taswir hui jati hai
ab wo didar mayassar hai na qurbat na suKHan
ek judai hai jo taqdir hui jati hai
un ko ashaar na samjhen kahin duniya wale
ye to hasrat hai jo tahrir hui jati hai
- Book : Dil Kay Ufuq Par (Pg. 131)
- Author : Ambareen Haseeb Amber
- Publication : Kitab Market ,Office 17 Urdu Bazar, Karachi, Pakistan (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.