ab aur dam na ghuTe raushni ka kamre mein
ab aur dam na ghuTe raushnī kā kamre meñ
darīche vā hoñ ujāloñ kī dauḌ puurī ho
jo ḳhvāb aa.eñ to dekhūñ tujhe maiñ jī-bhar ke
ki niiñd aa.e to ḳhvāboñ kī dauḌ puurī ho
koī baḌhā.e zarā āsmān kī vus.at
maiñ chāhtā huuñ parindoñ kī dauḌ puurī ho
kisī azaab se ruk jaa.e raqs qātil kā
gharoñ ko lauTte bachchoñ kī dauḌ puurī ho
maiñ tere hijr ke aalam meñ jī nahīñ saktā
so ab yahī ho ki sāñsoñ kī dauḌ puurī ho
ab aur dam na ghuTe raushni ka kamre mein
dariche wa hon ujalon ki dauD puri ho
jo KHwab aaen to dekhun tujhe main ji-bhar ke
ki nind aae to KHwabon ki dauD puri ho
koi baDhae zara aasman ki wusat
main chahta hun parindon ki dauD puri ho
kisi azab se ruk jae raqs qatil ka
gharon ko lauTte bachchon ki dauD puri ho
main tere hijr ke aalam mein ji nahin sakta
so ab yahi ho ki sanson ki dauD puri ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.