ab chaman mein ham-nafas aur ham-zaban koi nahin
ab chaman meñ ham-nafas aur ham-zabāñ koī nahīñ
ham-nashīñ koī nahīñ hai rāzdāñ koī nahīñ
kis se hāl-e-dil kaheñ kis ko sunā.eñ hāl-e-zār
chāra-sāz-e-dard-e-dil-soz-e-nihāñ koī nahīñ
kal bhī maiñ tanhā rahā huuñ aur tanhā aaj bhī
kal vahāñ koī na thā aur ab yahāñ koī nahīñ
fasl-e-gul aate hī uThtī hai sadā-e-zāġh o buum
ġhuncha-o-gul aur bulbul shādmāñ koī nahīñ
nukta-chīñ mahfil kī raunaq ban ga.e haiñ āj-kal
bazm-e-yārāñ meñ sitam hai nukta-dāñ koī nahīñ
yuuñ to kahne ko sabhī the ham-safīr-o-ham-ḳhayāl
ham-safar koī nahīñ ab ham-ināñ koī nahīñ
ab chaman mein ham-nafas aur ham-zaban koi nahin
ham-nashin koi nahin hai raazdan koi nahin
kis se haal-e-dil kahen kis ko sunaen haal-e-zar
chaara-saz-e-dard-e-dil-soz-e-nihan koi nahin
kal bhi main tanha raha hun aur tanha aaj bhi
kal wahan koi na tha aur ab yahan koi nahin
fasl-e-gul aate hi uThti hai sada-e-zagh o bum
ghuncha-o-gul aur bulbul shadman koi nahin
nukta-chin mahfil ki raunaq ban gae hain aaj-kal
bazm-e-yaran mein sitam hai nukta-dan koi nahin
yun to kahne ko sabhi the ham-safir-o-ham-KHayal
ham-safar koi nahin ab ham-inan koi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.