ab dard ka suraj kabhi Dhalta hi nahin hai
ab dard kā sūraj kabhī Dhaltā hī nahīñ hai
ab dil koī pahlū ho sañbhaltā hī nahīñ hai
bechain kiye rahtī hai jis kī talab-e-dīd
ab baam pe vo chāñd nikaltā hī nahīñ hai
ik 'umr se duniyā kā hai bas ek hī 'ālam
ye kyā ki falak rang badaltā hī nahīñ hai
nākām rahā un kī nigāhoñ kā fusūñ bhī
is vaqt to jaadū koī chaltā hī nahīñ hai
jazbe kī kaḌī dhuup ho to kyā nahīñ mumkin
ye kis ne kahā sang pighaltā hī nahīñ hai
ab dard ka suraj kabhi Dhalta hi nahin hai
ab dil koi pahlu ho sanbhalta hi nahin hai
bechain kiye rahti hai jis ki talab-e-did
ab baam pe wo chand nikalta hi nahin hai
ek 'umr se duniya ka hai bas ek hi 'alam
ye kya ki falak rang badalta hi nahin hai
nakaam raha un ki nigahon ka fusun bhi
is waqt to jadu koi chalta hi nahin hai
jazbe ki kaDi dhup ho to kya nahin mumkin
ye kis ne kaha sang pighalta hi nahin hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.