ab dil ko intizar tere faisle ka hai
ab dil ko intizār tire faisle kā hai
aur tujh meñ aib der talak sochne kā hai
koī nahīñ sunegā burā.ī sharāb kī
har shaḳhs is dayār meñ aadī nashe kā hai
ab sañg-bāriyoñ kā amal sard paḌ gayā
ab us taraf bhī rañj mire TūTne kā hai
ye saare log ḳhud to haiñ jaise koī kamān
jo tiir chal rahā hai kisī dūsre kā hai
chehre kā ḳhol saaf nazar aa gayā 'aqīl'
phir bhī ye shor hai ki qusūr ā.īne kā hai
ab dil ko intizar tere faisle ka hai
aur tujh mein aib der talak sochne ka hai
koi nahin sunega burai sharab ki
har shaKHs is dayar mein aadi nashe ka hai
ab sang-bariyon ka amal sard paD gaya
ab us taraf bhi ranj mere TuTne ka hai
ye sare log KHud to hain jaise koi kaman
jo tir chal raha hai kisi dusre ka hai
chehre ka KHol saf nazar aa gaya 'aqil'
phir bhi ye shor hai ki qusur aaine ka hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.