ab dil mein aarzuon ke aasar dekhna
ab dil meñ ārzūoñ ke āsār dekhnā
vīrāniyoñ meñ shahar-e-numūdār dekhnā
kaun aa gayā charāġh kī lau kis ne tez kī
sho.ale se ho gayā hai kise pyaar dekhnā
do ashk chashm-e-nāz kī duniyā badal ga.e
ik barg-e-gul pe os kī miqdār dekhnā
mansūr ik giraft meñ mansūr ho gayā
banda-navāzī-e-rasan-o-dār dekhnā
ye kaun jhāñktā hai darīche se bār-bār
lau de rahā hai sāya-e-dīvār dekhnā
dāman se duur rah gayā haath āftāb kā
us aane vaalī sub.h kī raftār dekhnā
aa.ī jo gard-e-rāh to dāman jhaTak diyā
āvārgān-e-shauq kā kirdār dekhnā
tum ko agar na ho koī ehsās-e-kamtarī
'nāzish' kī chashm-e-shauq kā me.aar dekhnā
ab dil mein aarzuon ke aasar dekhna
viraniyon mein shahar-e-numudar dekhna
kaun aa gaya charagh ki lau kis ne tez ki
shoale se ho gaya hai kise pyar dekhna
do ashk chashm-e-naz ki duniya badal gae
ek barg-e-gul pe os ki miqdar dekhna
mansur ek giraft mein mansur ho gaya
banda-nawazi-e-rasan-o-dar dekhna
ye kaun jhankta hai dariche se bar-bar
lau de raha hai saya-e-diwar dekhna
daman se dur rah gaya hath aaftab ka
us aane wali subh ki raftar dekhna
aai jo gard-e-rah to daman jhaTak diya
aawargan-e-shauq ka kirdar dekhna
tum ko agar na ho koi ehsas-e-kamtari
'nazish' ki chashm-e-shauq ka mear dekhna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.