ab eatibar nahin meri jaan kisi ka nahin
ab e.atibār nahīñ merī jaañ kisī kā nahīñ
charāġh sab ke liye hai dhuāñ kisī kā nahīñ
lakīreñ khīñch rahe haiñ sabhī zamīnoñ par
zamīñ kisī kī nahīñ āsmāñ kisī kā nahīñ
ab iḳhtiyār zamāne pe hai na is dil par
kamāl ye hai ki koī yahāñ kisī kā nahīñ
uḌā ke le ga.ī pāgal havā zamāne ko
sabhī ne dekhā ki āb-e-ravāñ kisī kā nahīñ
maqām-e-vasl se aage hai lā-makāñ kā safar
hudūd-e-vaqt se aage nishāñ kisī kā nahīñ
ab eatibar nahin meri jaan kisi ka nahin
charagh sab ke liye hai dhuan kisi ka nahin
lakiren khinch rahe hain sabhi zaminon par
zamin kisi ki nahin aasman kisi ka nahin
ab iKHtiyar zamane pe hai na is dil par
kamal ye hai ki koi yahan kisi ka nahin
uDa ke le gai pagal hawa zamane ko
sabhi ne dekha ki aab-e-rawan kisi ka nahin
maqam-e-wasl se aage hai la-makan ka safar
hudud-e-waqt se aage nishan kisi ka nahin
- Book : Ishq (Pg. 32)
- Author : Moid Rasheedi
- Publication : Rekhta Publications (2024)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.