ab guzar jaega ye sal bhi lamhon ki tarah
ab guzar jā.egā ye saal bhī lamhoñ kī tarah
beTiyāñ aa.ī haiñ sasurāl se pariyoñ kī tarah
us se chāheñ bhī to dāman ko chhuḌā sakte nahīñ
zindagī ham pe musallat hai rivājoñ kī tarah
qahat-sālī kī kare kaun bayāñ shān-e-varūd
sab pareshān haiñ ujḌe hue khetoñ kī tarah
jo diyā ḳhūn-e-riyāzat to hue haiñ taḳhlīq
saare sheroñ se mujhe pyaar hai bachchoñ kī tarah
is ko tum apnī vafā kā na karishma samjho
yuuñ bhī mil jaate haiñ kuchh log faqīroñ kī tarah
mar ke bhī merā tashaḳhḳhus na koī chhīn sakā
ilm bāñTā na gayā mere asāsoñ kī tarah
'jān' phir kar ke kisī roz ye uḌ jā.eñgī
beTiyāñ baap ke āñgan meñ haiñ chiḌiyoñ kī tarah
ab guzar jaega ye sal bhi lamhon ki tarah
beTiyan aai hain sasural se pariyon ki tarah
us se chahen bhi to daman ko chhuDa sakte nahin
zindagi hum pe musallat hai riwajon ki tarah
qahat-sali ki kare kaun bayan shan-e-warud
sab pareshan hain ujDe hue kheton ki tarah
jo diya KHun-e-riyazat to hue hain taKHliq
sare sheron se mujhe pyar hai bachchon ki tarah
is ko tum apni wafa ka na karishma samjho
yun bhi mil jate hain kuchh log faqiron ki tarah
mar ke bhi mera tashaKHKHus na koi chhin saka
ilm banTa na gaya mere asason ki tarah
'jaan' phir kar ke kisi roz ye uD jaengi
beTiyan bap ke aangan mein hain chiDiyon ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.