ab haalat-e-dil na puchh kya hai
ab hālat-e-dil na pūchh kyā hai
sho.ala thā bhaḌak ke bujh gayā hai
insān ko dil milā magar kyā
andhe ke haath meñ diyā hai
tāsīr ne ye kahā hai ham se
naala naġhme kī intihā hai
terī duniyā ko ham sañvāreñ
ye ek ajiib mājrā hai
jo duur se aa rahī hai 'rizvī'
pahchānī huī sī ye sadā hai
ab haalat-e-dil na puchh kya hai
shoala tha bhaDak ke bujh gaya hai
insan ko dil mila magar kya
andhe ke hath mein diya hai
tasir ne ye kaha hai hum se
nala naghme ki intiha hai
teri duniya ko hum sanwaren
ye ek ajib majra hai
jo dur se aa rahi hai 'rizwi'
pahchani hui si ye sada hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.