ab hum ko kisi se koi shikwa na rahega
ab ham ko kisī se koī shikva na rahegā
jab tum na rahe koī hamārā na rahegā
duniyā meñ rahe silsila-e-husn mujhe kyā
ai vaqt mirā ahd-e-tamannā na rahegā
shāyad koī had sail-e-tamannā kī ho lekin
dhārā to ye kahtā hai kinārā na rahegā
baiThe the ghanī chhāñv meñ is kī na ḳhabar thī
baḌh jā.egī dhuup aur ye saayā na rahegā
jab dekh ke ḳhush hote the kyā jānte the ham
baḌh jā.egī dhuup aur ye saayā na rahegā
jab dekh ke ḳhush hote the kyā jānte the ham
rah jā.eñgī āñkheñ ye tamāshā na rahegā
samjhā thā na samjhā hai na samjhegā 'razā' kuchh
dīvāna thā dīvāna hai dīvāna rahegā
ab hum ko kisi se koi shikwa na rahega
jab tum na rahe koi hamara na rahega
duniya mein rahe silsila-e-husn mujhe kya
ai waqt mera ahd-e-tamanna na rahega
shayad koi had sail-e-tamanna ki ho lekin
dhaara to ye kahta hai kinara na rahega
baiThe the ghani chhanw mein is ki na KHabar thi
baDh jaegi dhup aur ye saya na rahega
jab dekh ke KHush hote the kya jaante the hum
baDh jaegi dhup aur ye saya na rahega
jab dekh ke KHush hote the kya jaante the hum
rah jaengi aankhen ye tamasha na rahega
samjha tha na samjha hai na samjhega 'raza' kuchh
diwana tha diwana hai diwana rahega
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.