ab har ek dard ko us dard ki lazzat jaano
ab har ik dard ko us dard kī lazzat jaano
aur āñkhoñ ko kisī ḳhvāb kī qīmat jaano
sab parindoñ ko isī yaad kā maz.har samjho
saarī ḳhushiyoñ ko usī ġham kī alāmat jaano
husn duniyā ko isī shakl kā partav samjho
zindagī us kī hī yādoñ kī amānat jaano
kaun miltā hai kise sirf mohabbat ke tufail
vo bichhaḌ jaa.e to us ko hī haqīqat jaano
har na.e phuul ko mausam kā karishma samjho
har na.e dasht ko bādal kī siyāsat jaano
DhūñDte jaao akele sar-e-sahrā-e-hayāt
dasht-e-tanhā ko magar us kī rifāqat jaano
apne sab hijr to sachche nahīñ hote haiñ magar
ālam-e-hijr meñ yādoñ ko ibādat jaano
ik nafas bhī to nahīñ ishq kā rasta 'ādil'
ek lamhe kī mohabbat ko ġhanīmat jaano
ab har ek dard ko us dard ki lazzat jaano
aur aankhon ko kisi KHwab ki qimat jaano
sab parindon ko isi yaad ka mazhar samjho
sari KHushiyon ko usi gham ki alamat jaano
husn duniya ko isi shakl ka partaw samjho
zindagi us ki hi yaadon ki amanat jaano
kaun milta hai kise sirf mohabbat ke tufail
wo bichhaD jae to us ko hi haqiqat jaano
har nae phul ko mausam ka karishma samjho
har nae dasht ko baadal ki siyasat jaano
DhunDte jao akele sar-e-sahra-e-hayat
dasht-e-tanha ko magar us ki rifaqat jaano
apne sab hijr to sachche nahin hote hain magar
aalam-e-hijr mein yaadon ko ibaadat jaano
ek nafas bhi to nahin ishq ka rasta 'adil'
ek lamhe ki mohabbat ko ghanimat jaano
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.