ab is bharam mein har ek raat kaTni hai mujhe
ab is bharam meñ har ik raat kāTnī hai mujhe
ki aane vaalī tire saath kāTnī hai mujhe
tujhe dilānā hai ehsās apne is dukh kā
tū kuchh to bol tirī baat kāTnī hai mujhe
mujhe tulū-e-sahar kī tasalliyāñ mat de
abhī to ye shab-e-zulmāt kāTnī hai mujhe
ab is bharam mein har ek raat kaTni hai mujhe
ki aane wali tere sath kaTni hai mujhe
tujhe dilana hai ehsas apne is dukh ka
tu kuchh to bol teri baat kaTni hai mujhe
mujhe tulu-e-sahar ki tasalliyan mat de
abhi to ye shab-e-zulmat kaTni hai mujhe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.