ab is ke baad koi rasta nahin
ab is ke baa'd koī rāsta nahīñ
maiñ kah chukā huuñ aap ne sunā nahīñ
ab aise shaḳhs kā kareñ to kyā kareñ
jo tujh ko jāntā hai māntā nahīñ
hamārā mas.ala ye zindagī hai dost
ye shā'irī hamārā mas.ala nahīñ
jo mere saath saath chal rahā thā vo
maiñ ruk gayā to ek pal rukā nahīñ
mirā nahīñ huā ye aur baat hai
ye aur baat hai vo bevafā nahīñ
vo sāmne se jā chukā to ye khulā
vo ḳhvāb lag rahā thā ḳhvāb thā nahīñ
ab is ke ba'd koi rasta nahin
main kah chuka hun aap ne suna nahin
ab aise shaKHs ka karen to kya karen
jo tujh ko jaanta hai manta nahin
hamara masala ye zindagi hai dost
ye sha'iri hamara masala nahin
jo mere sath sath chal raha tha wo
main ruk gaya to ek pal ruka nahin
mera nahin hua ye aur baat hai
ye aur baat hai wo bewafa nahin
wo samne se ja chuka to ye khula
wo KHwab lag raha tha KHwab tha nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.