ab ishq tamasha mujhe dikhlae hai kuchh aur
ab ishq tamasha mujhe dikhlae hai kuchh aur
Jurat Qalandar Bakhsh
MORE BYJurat Qalandar Bakhsh
ab ishq tamāshā mujhe dikhlā.e hai kuchh aur
kahtā huuñ kuchh aur muñh se nikal jaa.e hai kuchh aur
nāseh kī himāqat to zarā dekhiyo yaaro
samjhā huuñ maiñ kuchh aur mujhe samjhā.e hai kuchh aur
kyā dīda-e-ḳhūñ-bār se nisbat hai ki ye abr
barsā.e hai kuchh aur vo barsā.e kuchh aur
rone de, hañsā mujh ko na hamdam ki tujhe ab
kuchh aur hī bhātā hai mujhe bhaa.e hai kuchh aur
paiġhām-bar aayā hai ye ausān gañvā.e
pūchhūñ huuñ maiñ kuchh aur mujhe batlā.e hai kuchh aur
'jur.at' kī tarah mere havās ab nahīñ bar jā
kahtā huuñ kuchh aur muñh se nikal jaa.e hai kuchh aur
ab ishq tamasha mujhe dikhlae hai kuchh aur
kahta hun kuchh aur munh se nikal jae hai kuchh aur
naseh ki himaqat to zara dekhiyo yaro
samjha hun main kuchh aur mujhe samjhae hai kuchh aur
kya dida-e-KHun-bar se nisbat hai ki ye abr
barsae hai kuchh aur wo barsae kuchh aur
rone de, hansa mujh ko na hamdam ki tujhe ab
kuchh aur hi bhata hai mujhe bhae hai kuchh aur
paigham-bar aaya hai ye ausan ganwae
puchhun hun main kuchh aur mujhe batlae hai kuchh aur
'jurat' ki tarah mere hawas ab nahin bar ja
kahta hun kuchh aur munh se nikal jae hai kuchh aur
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.