ab jo mujhse unhen hijab nahin
ab jo mujh se unheñ hijāb nahīñ
dil ko pahlā sā iztirāb nahīñ
hai unheñ mujh pe e'timād-e-vafā
ab unheñ mujh se ijtināb nahīñ
baḳhsh kar lutf-e-vasl kahte haiñ
ab na kahnā ki kāmyāb nahīñ
is qadar haiñ vo mehrbāñ mujh par
un ke altāf kā hisāb nahīñ
kāmyāb-e-visāl-e-jānāñ huuñ
phir bhī kahte haiñ kāmyāb nahīñ
maiñ to sairāb-e-aish-e-vasl karūñ
kyā karūñ tujh ko is kī taab nahīñ
maiñ ye kyūñkar kahūñ ki hasb-e-murād
dil-e-pur-shauq kāmyāb nahīñ
aap se chhuT ke rah nahīñ saktā
ba-ḳhudā is kī dil ko taab nahīñ
ab bhī huuñ be-qarār-e-lutf-o-karam
go vo aglā sā iztirāb nahīñ
aap ke rahm kī zarūrat ho
hāl-e-dil is qadar ḳharāb nahīñ
vo nazar laakh be-hijāb sahī
dast-e-gustāḳh kā javāb nahīñ
aaj duniyā-e-dil-barī meñ kahīñ
aap ke husn kā javāb nahīñ
aaj lākhoñ meñ intiḳhāb haiñ aap
duur duur aap kā javāb nahīñ
ruḳh-e-jānāñ meñ ab bhī hai ik baat
go vo pahlī sī āb-o-tāb nahīñ
aap kī chashm-e-mast ke aage
asar-e-mastī-e-sharāb nahīñ
aap ke husn ke muqābil meñ
koī shai surḳhī-e-gulāb nahīñ
sach to ye hai jamāl-e-jānāñ kā
ek partav hai āftāb nahīñ
aaj tere sivā 'jalīl' koī
rang-e-hasrat meñ kāmyāb nahīñ
ab jo mujh se unhen hijab nahin
dil ko pahla sa iztirab nahin
hai unhen mujh pe e'timad-e-wafa
ab unhen mujh se ijtinab nahin
baKHsh kar lutf-e-wasl kahte hain
ab na kahna ki kaamyab nahin
is qadar hain wo mehrban mujh par
un ke altaf ka hisab nahin
kaamyab-e-visal-e-jaanan hun
phir bhi kahte hain kaamyab nahin
main to sairab-e-aish-e-wasl karun
kya karun tujh ko is ki tab nahin
main ye kyunkar kahun ki hasb-e-murad
dil-e-pur-shauq kaamyab nahin
aap se chhuT ke rah nahin sakta
ba-KHuda is ki dil ko tab nahin
ab bhi hun be-qarar-e-lutf-o-karam
go wo agla sa iztirab nahin
aap ke rahm ki zarurat ho
haal-e-dil is qadar KHarab nahin
wo nazar lakh be-hijab sahi
dast-e-gustaKH ka jawab nahin
aaj duniya-e-dil-bari mein kahin
aap ke husn ka jawab nahin
aaj lakhon mein intiKHab hain aap
dur dur aap ka jawab nahin
ruKH-e-jaanan mein ab bhi hai ek baat
go wo pahli si aab-o-tab nahin
aap ki chashm-e-mast ke aage
asar-e-masti-e-sharab nahin
aap ke husn ke muqabil mein
koi shai surKHi-e-gulab nahin
sach to ye hai jamal-e-jaanan ka
ek partaw hai aaftab nahin
aaj tere siwa 'jalil' koi
rang-e-hasrat mein kaamyab nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.