ab jo soya to ye karunga main
ab jo soyā to ye karūñgā maiñ
ḳhvāb ke hoñT chuum lūñgā maiñ
bazm meñ sach bhī maiñ ne bolā hai
zahr kā jaam bhī piyūñgā maiñ
ai mujhe maut dene vaale sun
tū hī mar jā.egā jiyūñgā maiñ
ye mire dost kī nishānī hai
chāk-e-dāman bhalā siyūñgā maiñ
mujh pe bas merī hukmarānī hai
yuuñ jiyā huuñ yūñhī jiyūñgā maiñ
ab jo soya to ye karunga main
KHwab ke honT chum lunga main
bazm mein sach bhi main ne bola hai
zahr ka jam bhi piyunga main
ai mujhe maut dene wale sun
tu hi mar jaega jiyunga main
ye mere dost ki nishani hai
chaak-e-daman bhala siyunga main
mujh pe bas meri hukmarani hai
yun jiya hun yunhi jiyunga main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.