Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ab jo tum se nahin mil pae to mushkil hogi

Naseem Fatima Nazar lakhnavi

ab jo tum se nahin mil pae to mushkil hogi

Naseem Fatima Nazar lakhnavi

MORE BYNaseem Fatima Nazar lakhnavi

    ab jo tum se nahīñ mil paa.e to mushkil hogī

    fasl-e-gul yūñhī guzar jaa.e to mushkil hogī

    jis ko mar mar ke bhulāyā thā baḌī mushkil se

    phir kahīñ yaad vo aa jaa.e to mushkil hogī

    phir vo purvā.ī chalī ai mire dil ḳhair nahīñ

    phir koī choT ubhar aa.e to mushkil hogī

    maiñ nahīñ dekhtī is Dar se kisī jānib

    aañkh se dil meñ samā jaa.e to mushkil hogī

    zulmat-e-yās koī kam nahīñ aur us pe agar

    shaam ke gahre hue saa.e to mushkil hogī

    nikle jaate haiñ mire dil ke sab armān 'nazar'

    ghar jo vīrān ye ho jaa.e to mushkil hogī

    ab jo tum se nahin mil pae to mushkil hogi

    fasl-e-gul yunhi guzar jae to mushkil hogi

    jis ko mar mar ke bhulaya tha baDi mushkil se

    phir kahin yaad wo aa jae to mushkil hogi

    phir wo purwai chali ai mere dil KHair nahin

    phir koi choT ubhar aae to mushkil hogi

    main nahin dekhti is Dar se kisi ki jaanib

    aankh se dil mein sama jae to mushkil hogi

    zulmat-e-yas koi kam nahin aur us pe agar

    sham ke gahre hue sae to mushkil hogi

    nikle jate hain mere dil ke sab arman 'nazar'

    ghar jo viran ye ho jae to mushkil hogi

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now