ab kahan ishq ka zamana hai
ab kahāñ 'ishq kā zamāna hai
har taraf jang kā fasāna hai
dostī kyā huī vo barsoñ kī
ab mirā ghar tirā nishāna hai
dekh lī nafratoñ kī aag magar
bhaḌke sho'loñ ko ab bujhānā hai
kyā ḳhabar kyā hai maslahat us kī
kyā karishma koī dikhānā hai
is sadī meñ 'nigār' jī kar tum
kyā karogī kahāñ Thikānā hai
ab kahan 'ishq ka zamana hai
har taraf jang ka fasana hai
dosti kya hui wo barson ki
ab mera ghar tera nishana hai
dekh li nafraton ki aag magar
bhaDke sho'lon ko ab bujhana hai
kya KHabar kya hai maslahat us ki
kya karishma koi dikhana hai
is sadi mein 'nigar' ji kar tum
kya karogi kahan Thikana hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.