ab kahan jaen gham bhulane ko
ab kahāñ jaa.eñ ġham bhulāne ko
chhoḌ kar tere āstāne ko
ḳhauf-e-duniyā na fikr uqbā kī
chal diyā maiñ sharāb-ḳhāne ko
is fareb-e-adā ke ham sadqe
dil liyā bhī to āzmāne ko
chashm agar ho to mahv-e-zauq-e-nazar
dil agar ho to ġham uThāne ko
ham to barbād ho ga.e phir bhī
lutf aaya na kuchh zamāne ko
va.ada-e-vasl kar ke vo rūThe
'zabt' jaate haiñ ab manāne ko
ab kahan jaen gham bhulane ko
chhoD kar tere aastane ko
KHauf-e-duniya na fikr uqba ki
chal diya main sharab-KHane ko
is fareb-e-ada ke hum sadqe
dil liya bhi to aazmane ko
chashm agar ho to mahw-e-zauq-e-nazar
dil agar ho to gham uThane ko
hum to barbaad ho gae phir bhi
lutf aaya na kuchh zamane ko
wada-e-wasl kar ke wo ruThe
'zabt' jate hain ab manane ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.