ab kalam-e-narm-o-nazuk be-asar pate hain hum
ab kalam-e-narm-o-nazuk be-asar pate hain hum
Khawaja Manzar Hasan Manzar
MORE BYKhawaja Manzar Hasan Manzar
ab kalām-e-narm-o-nāzuk be-asar paate haiñ ham
phuul kī pattī na hiire kā jigar paate haiñ ham
be-nishāñ manzil hujūm-e-rahguzar paate haiñ ham
ek rahrav ke liye sau rāhbar paate haiñ ham
garche haiñ aqvāl-e-zarrīñ se saje dīvār-o-dar
har nasīhat lauh-e-dil par be-asar paate haiñ ham
ab musalmāñ se haram kī pāsbānī ho chukī
niil ke sāhil ko nang-e-kāshġhar paate haiñ ham
tauq-e-zarrīñ asp-e-tāzī ke gale meñ hai to kyā
asp-e-tāzī meñ bhī ab ausāf-e-ḳhar paate haiñ ham
is chaman ke naunihāloñ kī ilāhī ḳhair ho
āshiyānoñ meñ chhupe barq-o-sharar paate haiñ ham
yuuñ to kahne ko haiñ 'manzar' sar hathelī par liye
maslahat-bīnoñ ko kab sīna-sipar paate haiñ ham
ab kalam-e-narm-o-nazuk be-asar pate hain hum
phul ki patti na hire ka jigar pate hain hum
be-nishan manzil hujum-e-rahguzar pate hain hum
ek rahraw ke liye sau rahbar pate hain hum
garche hain aqwal-e-zarrin se saje diwar-o-dar
har nasihat lauh-e-dil par be-asar pate hain hum
ab musalman se haram ki pasbani ho chuki
nil ke sahil ko nang-e-kashghar pate hain hum
tauq-e-zarrin asp-e-tazi ke gale mein hai to kya
asp-e-tazi mein bhi ab ausaf-e-KHar pate hain hum
is chaman ke naunihaalon ki ilahi KHair ho
aashiyanon mein chhupe barq-o-sharar pate hain hum
yun to kahne ko hain 'manzar' sar hatheli par liye
maslahat-binon ko kab sina-sipar pate hain hum
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.