Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ab karb ke tufan se guzarna hi paDega

Ejaz Rahmani

ab karb ke tufan se guzarna hi paDega

Ejaz Rahmani

ab karb ke tūfāñ se guzarnā paḌegā

sūraj ko samundar meñ utarnā paḌegā

fitrat ke taqāze kabhī badle nahīñ jaate

ḳhushbū hai agar vo to bikharnā paḌegā

paḌtī hai to paḌ jaa.e shikan us jabīñ par

sachchā.ī iz.hār to karnā paḌegā

har shaḳhs ko ā.eñge nazar rañg sahar ke

ḳhurshīd kirnoñ ko bikharnā paḌegā

maiñ soch rahā huuñ ye sar-e-shahr-e-nigārāñ

ye us galī hai to Thaharnā paḌegā

ab shāna-e-tadbīr hai hāthoñ meñ hamāre

hālāt zulfoñ ko sañvarnā paḌegā

ik umr se be-nūr hai ye mahfil-e-hastī

'ejāz' koī rañg to bharnā paḌegā

ab karb ke tufan se guzarna hi paDega

suraj ko samundar mein utarna hi paDega

fitrat ke taqaze kabhi badle nahin jate

KHushbu hai agar wo to bikharna hi paDega

paDti hai to paD jae shikan us ki jabin par

sachchai ka izhaar to karna hi paDega

har shaKHs ko aaenge nazar rang sahar ke

KHurshid ki kirnon ko bikharna hi paDega

main soch raha hun ye sar-e-shahr-e-nigaran

ye us ki gali hai to Thaharna hi paDega

ab shana-e-tadbir hai hathon mein hamare

haalat ki zulfon ko sanwarna hi paDega

ek umr se be-nur hai ye mahfil-e-hasti

'ejaz' koi rang to bharna hi paDega

Source :
  • Book : Ghazalistaan (Pg. 299)
  • Author : Farkhanda Hashmi, Najeeb Rampuri
  • Publication : Farid Book Depot ltd, New Delhi (2003)
  • Edition : 2003
0
COMMENTS
VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

Additional information available

Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

OKAY

About this sher

Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

Close

rare Unpublished content

This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

OKAY

You have remaining out of free content pages per year. Log In or Register to become a Rekhta Family member to access the full website.

Speak Now