ab ke barish ko bhi to aane de
ab ke bārish ko bhī to aane de
kuchh sitam mausamoñ ko Dhāne de
mere guzre hue zamāne de
phir mujhe zaḳhm kuchh purāne de
har koī mujh ko āzmātā hai
ab mujhe us ko āzmāne de
raat to gahrī niiñd sotī hai
sāz-e-ġham subah ko sunāne de
dil ko is se sukūn miltā hai
dard kī mahfileñ sajāne de
ab ke barish ko bhi to aane de
kuchh sitam mausamon ko Dhane de
mere guzre hue zamane de
phir mujhe zaKHm kuchh purane de
har koi mujh ko aazmata hai
ab mujhe us ko aazmane de
raat to gahri nind soti hai
saz-e-gham subah ko sunane de
dil ko is se sukun milta hai
dard ki mahfilen sajaane de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.