ab ke baras gulshan mein na jaane kaisi hawa lahrai hai
ab ke baras gulshan mein na jaane kaisi hawa lahrai hai
Mujeeb Shehzar
MORE BYMujeeb Shehzar
ab ke baras gulshan meñ na jaane kaisī havā lahrā.ī hai
mausam mausam gard-ālūda saarī fazā dhuñdlā.ī hai
mustaqbil ke ḳhvāb sajā.e apnī apnī āñkhoñ meñ
saare paḌosī jaag rahe haiñ aur hameñ niiñd aa.ī hai
kaun kise ab sar kartā hai vaqt hī ye batlā.egā
ek taraf hai azm-e-musammam ek taraf dārā.ī hai
sat.h-e-zamīñ kā har ik ḳhitta Duub rahā hai paanī meñ
aise meñ kyā andāza ho kitnī kahāñ gahrā.ī hai
ham ko mashīnoñ kī shorish se hotī hai ghabrāhaT sī
ḳhāmoshī kī chāhat ham ko gaaoñ meñ phir le aa.ī hai
is baare meñ kuchh batlā kar aap vazāhat rahne deñ
kis ne dil ko zaḳhm diye haiñ kis kī karam-farmā.ī hai
koī burā kyā maane 'shahzar' saudā.ī kī bātoñ kā
dānish-var phir dānish-var hai saudā.ī saudā.ī hai
ab ke baras gulshan mein na jaane kaisi hawa lahrai hai
mausam mausam gard-aluda sari faza dhundlai hai
mustaqbil ke KHwab sajae apni apni aankhon mein
sare paDosi jag rahe hain aur hamein nind aai hai
kaun kise ab sar karta hai waqt hi ye batlaega
ek taraf hai azm-e-musammam ek taraf darai hai
sath-e-zamin ka har ek KHitta Dub raha hai pani mein
aise mein kya andaza ho kitni kahan gahrai hai
hum ko mashinon ki shorish se hoti hai ghabrahaT si
KHamoshi ki chahat hum ko gaon mein phir le aai hai
is bare mein kuchh batla kar aap wazahat rahne den
kis ne dil ko zaKHm diye hain kis ki karam-farmai hai
koi bura kya mane 'shahzar' saudai ki baaton ka
danish-war phir danish-war hai saudai saudai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.