Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

ab ke barsat ki rut aur bhi bhaDkili hai

Muzaffar Warsi

ab ke barsat ki rut aur bhi bhaDkili hai

Muzaffar Warsi

MORE BYMuzaffar Warsi

    ab ke barsāt rut aur bhī bhaḌkīlī hai

    jism se aag nikaltī hai qabā giilī hai

    sochtā huuñ ki ab anjām-e-safar kyā hogā

    log bhī kāñch ke haiñ raah bhī pathrīlī hai

    shiddat-e-karb meñ hañsnā to hunar hai merā

    haath saḳht haiñ zanjīr kahāñ Dhīlī hai

    gard āñkhoñ meñ sahī daaġh to chehre pe nahīñ

    lafz dhuñdle haiñ magar fikr to chamkīlī hai

    ghol detā hai samā'at meñ vo mīThā lahja

    kis ko mā'lūm ki ye qand bhī zahrīlī hai

    pahle rag rag se mirī ḳhuun nichoḌā us ne

    ab ye kahtā hai ki rangat mirī piilī hai

    mujh ko be-rang kar deñ na kahīñ rañg itne

    sabz mausam hai havā surḳh fazā niilī hai

    merī parvāz kisī ko nahīñ bhātī to na bhaa.e

    kyā karūñ zehn 'muzaffar' mirā jibrīlī hai

    ab ke barsat ki rut aur bhi bhaDkili hai

    jism se aag nikalti hai qaba gili hai

    sochta hun ki ab anjam-e-safar kya hoga

    log bhi kanch ke hain rah bhi pathrili hai

    shiddat-e-karb mein hansna to hunar hai mera

    hath hi saKHt hain zanjir kahan Dhili hai

    gard aankhon mein sahi dagh to chehre pe nahin

    lafz dhundle hain magar fikr to chamkili hai

    ghol deta hai sama'at mein wo miTha lahja

    kis ko ma'lum ki ye qand bhi zahrili hai

    pahle rag rag se meri KHun nichoDa us ne

    ab ye kahta hai ki rangat hi meri pili hai

    mujh ko be-rang hi kar den na kahin rang itne

    sabz mausam hai hawa surKH faza nili hai

    meri parwaz kisi ko nahin bhati to na bhae

    kya karun zehn 'muzaffar' mera jibrili hai

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Videos
    This video is playing from YouTube

    Chitra Singh

    Chitra Singh

    Source :
    • Book : Kalam-e- muzaffar warsi (Pg. 152)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now