ab ke mile to hum donon hi
ab ke mile to ham donoñ hī
ḳhud kī tujh se baat kareñge
ḳhud kī ḳhud se bāteñ kar ke
ham donoñ uktā bhī chuke haiñ
tere ḳhayāloñ meñ Duube to
duniyā saarī ghuum lī ham ne
dar pe ik dastak jo huī to
ham ko ye ma.alūm huā ke
kab se ham ghar aa bhī chuke hai
rātoñ ko jagte rahnā bhī
ḳhvāboñ se bachte rahnā bhī
āñkhoñ kī majbūrī hogī
āñkhoñ ke qisse se ham to
apnī aañkh bachā bhī chuke haiñ
is mausam kā kyā hai parsoñ
narsoñ ye bhī chal hī degā
ek gila bas tum se hai ki
us mausam meñ aa.e ho jab
ḳhud ko ham bahlā bhī chuke haiñ
ghar ke har kone se ab bhī
mahak hamārī chunte hoge
yādoñ ke pashmīna se tum
kal ko pal-pal bunte hoge
lekin sach to ye hai sāthī
ham to kab ke jā bhī chuke haiñ
ab ke mile to hum donon hi
KHud ki tujh se baat karenge
KHud ki KHud se baaten kar ke
hum donon ukta bhi chuke hain
tere KHayalon mein Dube to
duniya sari ghum li hum ne
dar pe ek dastak jo hui to
hum ko ye malum hua ke
kab se hum ghar aa bhi chuke hai
raaton ko jagte rahna bhi
KHwabon se bachte rahna bhi
aankhon ki majburi hogi
aankhon ke qisse se hum to
apni aankh bacha bhi chuke hain
is mausam ka kya hai parson
narson ye bhi chal hi dega
ek gila bas tum se hai ki
us mausam mein aae ho jab
KHud ko hum bahla bhi chuke hain
ghar ke har kone se ab bhi
mahak hamari chunte hoge
yaadon ke pashmina se tum
kal ko pal-pal bunte hoge
lekin sach to ye hai sathi
hum to kab ke ja bhi chuke hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.