ab KHizan aae ya bahaar aae
ab ḳhizāñ aa.e yā bahār aa.e
koī mausam to sāzgār aa.e
ham ne haarī thī ishq kī baazī
log to hausle bhī haar aa.e
rakh ke us dar pe sar uThāte kyā
aaj ye bojh bhī utaar aa.e
ab vo lamhe haiñ rāstoñ ke charāġh
terī dhun meñ jo ham guzār aa.e
hai ye sho.ala to koī baat nahīñ
dil agar hai to phir qarār aa.e
'soz' pal pal badaltī duniyā par
kis tarah dil ko e'tibār aa.e
ab KHizan aae ya bahaar aae
koi mausam to sazgar aae
hum ne haari thi ishq ki bazi
log to hausle bhi haar aae
rakh ke us dar pe sar uThate kya
aaj ye bojh bhi utar aae
ab wo lamhe hain raston ke charagh
teri dhun mein jo hum guzar aae
hai ye shoala to koi baat nahin
dil agar hai to phir qarar aae
'soz' pal pal badalti duniya par
kis tarah dil ko e'tibar aae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.