ab kis se kahen ki kya hua tha
ab kis se kaheñ ki kyā huā thā
ik hashr yahāñ bapā rahā thā
dastār ki paañv meñ paḌī thī
sardār kisī pe hans rahā thā
vo shaam guzar ga.ī thī aa ke
ranjūr udaas maiñ khaḌā thā
dahlīz jakaḌ rahī thī paañv
pindār magar uḌā huā thā
sad shukr gaḌhā huā thā qissa
kam-baḳht yaqīn aa gayā thā
ik baar hī aazmā to lete
dar band na thā bhiḌā huā thā
shab-ḳhūn meñ raushnī bahut thī
thā kaun jo dekhtā rahā thā
juzdān meñ āyateñ chhupī thiiñ
gul-dān meñ phuul khil rahā thā
ik shaḳhs ki thā vafā kā paikar
vo shaḳhs bhī mā.il-e-jafā thā
dastūr vahī thā hasb-e-dastūr
insāf kā qatl ho rahā thā
kuchh phuul khile hue the ghar meñ
kuchh yaad se dil mahak rahā thā
kuchh ashk gire hue the ḳhat par
ik lafz thā jo miTā huā thā
us shaam thā dil bahut akelā
maiñ hañste hañste ro paḌā thā
thī baat bahut zarā sī 'ahmad'
is dil ko na jaane kyā huā thā
ab kis se kahen ki kya hua tha
ek hashr yahan bapa raha tha
dastar ki panw mein paDi thi
sardar kisi pe hans raha tha
wo sham guzar gai thi aa ke
ranjur udas main khaDa tha
dahliz jakaD rahi thi panw
pindar magar uDa hua tha
sad shukr gaDha hua tha qissa
kam-baKHt yaqin aa gaya tha
ek bar hi aazma to lete
dar band na tha bhiDa hua tha
shab-KHun mein raushni bahut thi
tha kaun jo dekhta raha tha
juzdan mein aayaten chhupi thin
gul-dan mein phul khil raha tha
ek shaKHs ki tha wafa ka paikar
wo shaKHs bhi mail-e-jafa tha
dastur wahi tha hasb-e-dastur
insaf ka qatl ho raha tha
kuchh phul khile hue the ghar mein
kuchh yaad se dil mahak raha tha
kuchh ashk gire hue the KHat par
ek lafz tha jo miTa hua tha
us sham tha dil bahut akela
main hanste hanste ro paDa tha
thi baat bahut zara si 'ahmad'
is dil ko na jaane kya hua tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.