ab kise chahen kise DhunDa karen
ab kise chāheñ kise DhūñDā kareñ
vo bhī āḳhir mil gayā ab kyā kareñ
halkī halkī bārisheñ hotī rahīñ
ham bhī phūloñ kī tarah bhīgā kareñ
aañkh mūñde us gulābī dhuup meñ
der tak baiThe use sochā kareñ
dil mohabbat diin duniyā shā.irī
har darīche se tujhe dekhā kareñ
ghar nayā kapḌe na.e bartan na.e
in purāne kāġhazoñ kā kyā kareñ
ab kise chahen kise DhunDa karen
wo bhi aaKHir mil gaya ab kya karen
halki halki barishen hoti rahin
hum bhi phulon ki tarah bhiga karen
aankh munde us gulabi dhup mein
der tak baiThe use socha karen
dil mohabbat din duniya shairi
har dariche se tujhe dekha karen
ghar naya kapDe nae bartan nae
in purane kaghazon ka kya karen
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.