ab kisi KHwab ki tabir nahin chahta main
ab kisī ḳhvāb kī ta.abīr nahīñ chāhtā maiñ
koī sūrat pas-e-tasvīr nahīñ chāhtā maiñ
chāhtā huuñ ki rifāqat kā bharam rah jaa.e
ahd-o-paimān kī tafsīr nahīñ chāhtā meñ
hukm sādir hai to nāfiz bhī karo mere huzūr
faisle meñ koī tāḳhīr nahīñ chāhtā maiñ
chāhtā huuñ tujhe guftār se qaa.il kar luuñ
baat meñ lahja-e-shamshīr nahīñ chāhtā maiñ
mudda.ā hai ki mirā haq mujhe vāpas mil jaa.e
tere ajdād kī jāgīr nahīñ chāhtā maiñ
ab kisi KHwab ki tabir nahin chahta main
koi surat pas-e-taswir nahin chahta main
chahta hun ki rifaqat ka bharam rah jae
ahd-o-paiman ki tafsir nahin chahta mein
hukm sadir hai to nafiz bhi karo mere huzur
faisle mein koi taKHir nahin chahta main
chahta hun tujhe guftar se qail kar lun
baat mein lahja-e-shamshir nahin chahta main
muddaa hai ki mera haq mujhe wapas mil jae
tere ajdad ki jagir nahin chahta main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.