ab kisi ko kya bataen kis qadar nadan the
ab kisī ko kyā batā.eñ kis qadar nādān the
ham vahīñ kashtī ko le aa.e jahāñ tūfān the
kuchh taḌaptī ārzūeñ chand be-ma.anī savāl
kārvāñ meñ sab ke sar par bas yahī sāmān the
ham ne is duniyā ke mai-ḳhāne meñ ye dekhā fareb
bas vahī pyāse rahe jo sāhib-e-īmān the
zalzaloñ par aa gayā ilzām achchhā hī huā
varna is taḳhrīb ke pahle se bhī imkān the
un ġhamoñ ne dil meñ sadiyoñ ke vasīle kar liye
jo faqat do-chār din ke vāste mehmān the
bas yahī sach hai ki ham ab un kī mahkūmī meñ haiñ
jo 'nafas' apnī havelī meñ kabhī darbān the
ab kisi ko kya bataen kis qadar nadan the
hum wahin kashti ko le aae jahan tufan the
kuchh taDapti aarzuen chand be-mani sawal
karwan mein sab ke sar par bas yahi saman the
hum ne is duniya ke mai-KHane mein ye dekha fareb
bas wahi pyase rahe jo sahib-e-iman the
zalzalon par aa gaya ilzam achchha hi hua
warna is taKHrib ke pahle se bhi imkan the
un ghamon ne dil mein sadiyon ke wasile kar liye
jo faqat do-chaar din ke waste mehman the
bas yahi sach hai ki hum ab un ki mahkumi mein hain
jo 'nafas' apni haweli mein kabhi darban the
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.