ab kisi se na koi adawat rahe
ab kisī se na koī 'adāvat rahe
ḳhush rahe tū hamesha salāmat rahe
hai ḳhudā se mirī iltijā bas yahī
tū mirī hai mirī hī amānat rahe
jiit tū ne liyā jab mirā dil to phir
lāzmī hai ki terī hukūmat rahe
sab ḳhushī se raheñ apne is mulk meñ
chāhā kab ye kisī ne baġhāvat rahe
hai havāle kisī ke mirī zindagī
maañ du'ā karnā beTā salāmat rahe
ab kisi se na koi 'adawat rahe
KHush rahe tu hamesha salamat rahe
hai KHuda se meri iltija bas yahi
tu meri hai meri hi amanat rahe
jit tu ne liya jab mera dil to phir
lazmi hai ki teri hukumat rahe
sab KHushi se rahen apne is mulk mein
chaha kab ye kisi ne baghawat rahe
hai hawale kisi ke meri zindagi
man du'a karna beTa salamat rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.