ab koi yahan naghma-sara kyon nahin hota
ab koī yahāñ naġhma-sarā kyoñ nahīñ hotā
zinda haiñ to ehsās-e-baqā kyoñ nahīñ hotā
ham ālam-e-barzaḳh meñ raheñge yuuñ hī kab tak
honā hai to phir hashr bapā kyoñ nahīñ hotā
ham ḳhuun kī qisteñ to ka.ī de chuke lekin
ai ḳhāk-e-vatan qarz adā kyoñ nahīñ hotā
ab koi yahan naghma-sara kyon nahin hota
zinda hain to ehsas-e-baqa kyon nahin hota
hum aalam-e-barzaKH mein rahenge yun hi kab tak
hona hai to phir hashr bapa kyon nahin hota
hum KHun ki qisten to kai de chuke lekin
ai KHak-e-watan qarz ada kyon nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.