ab kya kahen jo mausam-e-gulshan ka haal hai
ab kyā kaheñ jo mausam-e-gulshan kā haal hai
phūloñ se rābta na sabā kā ḳhayāl hai
har aarzū kī aañkh meñ aañsū lahū ke haiñ
kis kā ye dil ke shahr meñ yaum-e-visāl hai
mujh ko kiyā thā qaidī-e-taqdīr kis liye
qudrat se intizār-e-javāb-o-savāl hai
jazboñ kī anjuman meñ usī kī hai raushnī
gul-hā-e-ārzū meñ usī kā jamāl hai
jo buḳhl se kiyā hai ikaTThā tamām umr
terā nahīñ hai vo tire beToñ kā maal hai
har gosha-e-zamīñ pe zarā ġhaur se paḌho
likkhī jo dāstān-e-urūj-o-zavāl hai
'shāhid' vo pūchhte haiñ mirā haal kyā kahūñ
jaisā thā pichhle saal vahī ab ke saal hai
ab kya kahen jo mausam-e-gulshan ka haal hai
phulon se rabta na saba ka KHayal hai
har aarzu ki aankh mein aansu lahu ke hain
kis ka ye dil ke shahr mein yaum-e-visal hai
mujh ko kiya tha qaidi-e-taqdir kis liye
qudrat se intizar-e-jawab-o-sawal hai
jazbon ki anjuman mein usi ki hai raushni
gul-ha-e-arzu mein usi ka jamal hai
jo buKHl se kiya hai ikaTTha tamam umr
tera nahin hai wo tere beTon ka mal hai
har gosha-e-zamin pe zara ghaur se paDho
likkhi jo dastan-e-uruj-o-zawal hai
'shahid' wo puchhte hain mera haal kya kahun
jaisa tha pichhle sal wahi ab ke sal hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.