ab kya sochen kya haalat the kis karan ye zahr piya hai
ab kyā socheñ kyā hālāt the kis kāran ye zahr piyā hai
ham ne us ke shahr ko chhoḌā aur āñkhoñ ko muuñd liyā hai
apnā ye sheva to nahīñ thā apne ġham auroñ ko sauñpeñ
ḳhud to jāgte yā sote haiñ us ko kyuuñ be-ḳhvāb kiyā hai
ḳhilqat ke āvāze bhī the band us ke darvāze bhī the
phir bhī us kūche se guzre phir bhī us kā naam liyā hai
hijr kī rut jāñ-levā thī par ġhalat sabhī andāze nikle
taaza rifāqat ke mausam tak maiñ bhī jiyā huuñ vo bhī jiyā hai
ek 'farāz' tumhīñ tanhā ho jo ab tak dukh ke rasiyā ho
varna aksar dil vāloñ ne dard kā rasta chhoḌ diyā hai
ab kya sochen kya haalat the kis karan ye zahr piya hai
hum ne us ke shahr ko chhoDa aur aankhon ko mund liya hai
apna ye shewa to nahin tha apne gham auron ko saunpen
KHud to jagte ya sote hain us ko kyun be-KHwab kiya hai
KHilqat ke aawaze bhi the band us ke darwaze bhi the
phir bhi us kuche se guzre phir bhi us ka nam liya hai
hijr ki rut jaan-lewa thi par ghalat sabhi andaze nikle
taza rifaqat ke mausam tak main bhi jiya hun wo bhi jiya hai
ek 'faraaz' tumhin tanha ho jo ab tak dukh ke rasiya ho
warna aksar dil walon ne dard ka rasta chhoD diya hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.